Main hoon HERO!
Kuch tips jo aap ko foodpanda mein hero banayengi!
-
Shift shuru honay sey pehle foodpanda ki t-shirt, saaf bag, mask, jeans aur closed shoes pehn kar tayyar ho jayen.
-
Apne starting point pe time sey pehle pohanch jayen takay aap late na hon, aur haan, shift leke chutti na karen, balkay na anay ki soorat mein swap karen!
-
Vendor/Restaurant kay paas jayen aur unki batayi hui jagah par wait karen. Unsey achay sey baat karen - aap hi tou humari pehchaan hain!
-
Customer location par jakay unsey bhi achay sey paish ayen, thank you bolen, yaqeenan woh aap ko tip denge!
-
Apni collection waqt pe jama karayen!
-
Shift pe anay walay orders ko fori accept karen takay aap ka acceptance rate behtreen rahy!
-
Cancellation? Koi baat nahi, aap cancelled order next pick up par deke picture dispatch chat mein bhejen!
-
Dispatch Chat aur Ticket ka sahi istemal karen takay aap ko fori madad mosul ho saky! (note: dispatch chat live issues kay liye hai aur ticket non-live yani shift kay ilawa anay walay issues k liye hai)
-
foodpanda ki website, youtube aur facebook page visit kar kay social media pe connected rahyn.
-
Aur haan! dost banayen aur iss zabardast community ka hissa banen jahan pe loug ek doosre ki madad karty hain!